Gapshap Jo Hamesha Aapke Sath Rahe!

Room Menu

Pasand kiya hua menu pasand kiye gaye vastuo ke sath kam karta hai. Chat room me yeh menu chalu karne ke liye 6 dabaye ya daayi sancharan key dabaye .

  • Private message :

Aap dusre users ko wyaktigat message bhej sakte ho . Chat room me ya kisi bhi jagah par user ko select karo jise  wyaktigat message bhejna ho. Aur bad me Private message select kare aur Apply par click kare.

  • Add to address book:

Dusre ko apne sampark book me jodne ke liye , Add to address book vikalp pasand kare aur laagu kare (aap apna samprk book Community vikalp me dekh sakte he).

  • Send photo from camera:

Aap sidhe apne phone se photo bhej sakte ho (photo khinche aur bheje) Send photo from camera vikalp laagu karne par.

  • Send file:

Aap kisi bhi users ko file bhej sakte ho (8MB limit ki koi bhi extension (prasar wali) wali file) Send file option laagu karne par.

  • Information:

Kisi bhi users ki jankari janne ke liye , chat room me se kisi bhi user ko psand kare ya anya kahin aur se aur 6 dabaye aur Information pasand kare aur click laagu kare. Aap uska nick, ID, sex, family status, font color, country, city, in chat since, last visit/login dekh sakte ho. Aap jyada information bhi dekh sakte ho, Personal information click karne par chalu ki gayi window me niche baayi taraf dikhega.Wahan first name, last name, birth date, Zodiac sign, Chinese sign, dikhenge aur firse wahan About yourself option par click karne par adhik jankari jaan sakte ho . Aap kisi bhi user ko andekha (ignore/black list) kar sakte ho - agar aap uske messages or files dekhna nahi chahte. Kisiko bhi apne ignore/black list me dalne k liye,chayan menu open kare baad me ush user ko select kare. Uske baad, open ki gai window me niche daayi baju ka Into ignore-list pasand kare.

  • View photo:

Aapke select kiye user ke menu me view photo option se uska photo dekh sakte ho.

  • Rating;

Aap kisi bhi user ka rating janch sakte ho . Yeh dekhne ke liye Rating pasand kare aur laagu kare. Aap dekh sakte ho ke usne kitne main room me messages aur wyaktigat messages bheje hai . Aap rating se user ka kram bhi dekh sakte ho. AVACS Live Chat, yahan rating ke 8 kram hai . Jo kram niche diye gaye hai :

  1. Novice - sabhi users 0 se 100 messages.
  2. Amateur - sabhi users 100 se 500 messages.
  3. Company-keeper - sabhi users 500 se 2000 messages.
  4. Hunter - sabhi users 2000 se 5000 messages.
  5. Veteran - sabhi users 5000 se 25000 messages.
  6. Elder - sabhi users 25000 se 100000 messages.
  7. Chats long-liver - sabhi users 100000 se 300000 messages.
  8. Neo - Sabhi users 300000 messages.
  • Status:

Aap kisi bhi user ka sthiti(status) janch kar sakte ho, chahe woh user online ho ya naa ho . Aur user ka aakhri online hua samay bhi janch sakte ho.

  • About room:

Aap About room option ko laagu karne par chat room ki jankari dekh sakte ho. Room ka name, room ka prakar, room ki rating, online male/female user k number, room ki bhasa, room ko bananewala (agar apko yeh khali dikhe to- iska matlab room system se bana hai - kisi user ne nahi banaya), room ka malik, room banne ki tarikh , room me main par post huye sabhi messages ke number . niche daaye me diye vikalp about room window par Click karne par jyada  jankari dikhegi jaise ki vote statistic(vote k aankde), (who in room)room me kaun kaun online hai , room Moderators ka list (yeh baad me dikhega) aur Read only mode vikalp aap room me pratibandhit huye sabhi user dekh sakte ho . Aap about room window ke niche baave kone ke Vote vikalp se room ko vote kar sakte ho . Aap room ko mile vote aur aakhri 48 ghante me kon-kon vote kiya yeh dekh sakte ho . Messages to chat - yeh vikalp sirf chat room me message send karne ke liye hai . Aap main room me sidha bhi message bhej sakte ho -> OK , 5 ya # key dabane par.

  • Link to chat:

Normal messages ke alawa isse hum kai aur chize chat room me post kar sakte hai.

  1. Aapke phone se sidha chat room me photo bhejne ke liye - use Photo from camera vikalp pasand kare.
  2. Aapke phone ki memory se sidhe main room me koi bhi file upload aur post karne ke liye - File from phone vikalp ka upyog kare.
  3. Incoming files option se aap main room me apni aayi hui files (jo aapko dusre users se mili(recieve) hui hogi) woh post kar sakte ho .
  4. Aap bade message ya kahani post kar sakte ho - Link to story vikalp ka upyog karke.

avacshindi © AVACS.2011 All rights reserved.

Create a website for freeWebnode

LinkXchanger.com MobPartner Counter Join MobPartner !